Top 3 New Search Engine Jo Google, Yahoo, Bing Se Bhi Jyada Khas Hai-Arun Star

top naye search engine


GoogleBing aur Yahoo jaise Search Engine to aap istemal karte hi honge. In search engines ki ek kami yah hai ki ye apki Privacy ko prabhavit karte hai, apke Profile Ko Track karte hai Aur apko naya anubhaw bhi nahi dete hai. Apke liye 3 type ke aise New Search Engine ki jankari, jo apke privecy ko banaye rakhte hai aur apke search experience ko bhi behtar banate hai. Aaiye inke ke bare me jane.

Duck Duck Go Search Engine


Yah google ki tarah hi kam karta hai, lekin iski khasiyat yah hai ki yah apko track nahi karta. Iska ka dayera kafi bada hai aur yah alag alag tarah ke Language par kam karta hai. Sath hi yah google ki tarah word likhte hi apko Suggestion deta hai. Iska Interfacegoogle jaisa hi easy hai. Duck Duck Go par jane ke liye aap yah link open karke ja sakte hai……. https://duckduckgo.com/

Exalead Search Engine

Exalead search engine par 16 billion se adhik Webpage ka khajana hai, jaha se bahut kam samye me Result khoj kar lata hai. Yaha aap account bana sakte hai aur prefaresege set kar sakte hai. Exalead par jane ke liye yah address open kare….. http://www.exalead.com/search/


Qwant Search Engine


Agar apko Web Search karne ke sath hi Social Search ke Result bhi dekhne hai to is search engine ka use kar sakte hai ye kai tarike se apna work karta hai. Qwant apko kabhi track nahi karta hai aur iske Feature bhi khas hai. Qwant Search Engine par jane ke liye yah URL open kariye…….. http://www.qwant.com/

Ab apka agar koi website ya blog hai aur apni saite pae kuch extra traffic lana chahte hai, to inme URL submit kar ke add kar sakte hai. Top search engine me blog ka link add kaise kare bata raha hu.

Website Blog Ko Search Engine Me Submit Karne Ka Tarika.

  • Duck Duck Go se apni site connect karne ke liye yah link open kare….. https://gg-l.xyz/3FMmiMqq usme site ka link add kare
  • Exalead me website/blog add karne ke liye… exalead.com/search/web/submit/ par jaye or apni site ka URL dale
  • Qwant Engine par site submit karne ke liye….. https://www.qwant.com par jakar kare.
Apko New Search Engine ki full information kaisi lagi comment me jarur bataye. Comment me aap apna sawal mujh se puch sakte hai.
Top 3 New Search Engine Jo Google, Yahoo, Bing Se Bhi Jyada Khas Hai-Arun Star Top 3 New Search Engine Jo Google, Yahoo, Bing Se Bhi Jyada Khas Hai-Arun Star Reviewed by Arun Goutam on 11:54 PM Rating: 5

No comments:

loading...
Powered by Blogger.