Whatsapp par account kaise banate hai janiye Hindi me – Whatsapp sabse jyada popular instant text messaging application hai. India me whatsapp sabse jyda use kiye jane wala android app hai. Duniyabhar me whatsapp sabse jyada lokpriya hai aur Facebook jaisi social networking site se bhi jyda popular hai. Whatsapp app sabhi smartphone me kaam karti hai aur image, text, video aur audio messages bhejne ke kaam aati hai. Agar aapne abhi tak whatsapp ka use nahi kiya hai aur whatsapp ID nahi banayi hai. To is post me janaiye ki whatsapp id kaise banaye aur whatsapp id banana kitna asan kaam hai.
Whatsapp kaise download kare
Android mobile me whatsapp kaise download kare –
- Sabse pehle aap apne android smartphone me google play store open kare.
- Fir search box me whatsapp likhkar search kare.
- Ab Whatsapp Messenger par click kare aur Install button par click kare.
- IPhone me whatsapp kaise download kare –
- Sabse pehle IPhone me App store open kare.
- Fir search box par click kare aur whatsapp type karke serch kare.
- Ab whatsapp par click kare aur install kare.
- Apna apple ID aur Password enter kare.
Windows phone me whatsapp kaise download kare –- Apne windows phone me windows app store open kare.
- Fir search box me whatsapp search kare.
- Aur whatsapp download karle.
Whatsapp par Id kaise banaye
Google Play store se whatsapp messenger download karne ke baad ab aap whatsapp par apna account bana sakte hai. Whatsapp par account banana bahut easy hai. Aayiye dekhte hai whatsapp par account kaise banate hai.- Sabse pehle whatsapp app ko open kare.
- App open hone ke baad “AGREE AND CONTINUE” button par click kare.
- Next screen par aapko apne personal mobile number enter karna hai.
- Mobile number enter karne ke baad “NEXT” button par click kare.
- Ab mobile number confirm kare aur “OK” button par click kare. Agar mobile number sahi nahi hai to “EDIT” button par click kare aur mobile number ko edit kare.
- Ab aapne jo mobile number enter kiye hai uspar ek confirmation code ka message aayega. Agar Sim aapke mobile me hi hai to confirmation code automatic detect ho jayega. Aur agar mobile number wali Sim kisi dusre mobile me hai to uspar message aayega. Aapko fir wo 6 digit confirmation code enter karna padenge. Code enter karne ke baad NEXT par click kare.
- Next screen par apna profile name enter kare aur “NEXT” button par click kare.
- Ab Backup ke liye option aayega. Agar aap apne whatsapp messages ka backup banana chahte hai to koi bhi option select kare aur “Done” kar de. Aur agar aap nahi chahte ki koi backup bane to “Never” select kare aur done kar de.
- Aapka whatsapp account bankar ready hai.
Ab aap jante hai ki whatsapp id kaise banate hai. Is tarah aap apna account banakar apne friends ke sath chating kar sakte hai aur media sharing kar sakte hai.
Whatsapp ID Kaise Banaye Step By Step Hindi Me
Reviewed by Arun Goutam
on
10:00 PM
Rating:
No comments: