Shopify Par Online Shopping Website Kaise banaye


DropShipping ke Naya Post me aap Sabhi Ka Swagt hai

Dosto Aaj is post me Ham Aapko Shopify par Online Store kaise banaye Ke bare me Batayenge
Shopify_par_Website_Kaise_Banaye

Aaj Kal Internet Ka use jyada Ho raha hai Or Log Online Shopping Karte Hai Jiske chalte Jo offline Bussiness Hai unhe Online Lana Chahiye Kyoki Internet ka Use or Online Shopping Bahut Tezi se Vikas kar Rahe Hai Agar Aap Apane Bussiness ko Online platform Par nahi Late hai To Aap Nuksan Me Hai
Aaj Ka Ye Post Special Yahi hai ki Is post me ham Shopify par store kaise banaye ke bare me Janenge

Agar Aap Abhi Apane Bussiness ko Online Lana Chahte Hai To Ye Post Complect Padhe
Shopify par Store banane ke liye aapko Shopify Ko Mounthy payment karna Hota hai .
Jaise aap Kiraye par Dukan lete hai waise Hi

Aap saruaat me 14 Din Ka Free Trail Use karke Shopify Ko Puri Tarah Samj Or Use kar Skate hai Agar Aapko Shopify Plateform Accha lagta hai To Aap Uspar Apane Bussiness Ko Continue kar Skate hai Warna leave kar skate Hai

Agar aap Free me Store banana Of Product Share karke paisa kamana chahte hai To Aapke liye Wooplr Best Option Hai
Wooplr ke bare me jayada jankari ke liye aap hamara ye post padhe ...

  • Wooplr par Store kaise banaye 

Chalo Fir bat karte hai Shoify par Online Shopping Website Kaise banaye Step By step

Shopify Par Online Shopping Website Kaise banaye

Step 1 :- Sabse pahele Shopify Ki Website par visit kare

Step 2 :- ab Aapke Samne Shopify Registration Page Open Hoga Usmain Email Dale Or Get Started par click Kare

Online_Website_Kaise_banaye

Step 3 :- Ab Aapke Samne Dusra Page open Hoga Aapko Usmain Details Dalni Hai Jo Aap Niche Image Me Dekh Sakte hai


Shopping_Website_Kaise_banye

1 :- Aapne Email Dali Hai Wo Pahele se Dikha Rahi Hai

2 :- Aapko Password Dalana Hai Koi Strong password Dale Jisse Aapki Website Safe Rahe

3 :- yaha par Aapko Apane Store ka Name Dalna Hai Jis name se aap Online Store Kholna Chahte hai Wo naam

4 :- Last me AB create my Store par click kare

Step 4 :- Ab Next page Open Hoga Us main Aapko 4 Sawal puche jayenge Jis me Aap Aapni iccha Anusaar Un Jawab Ka Answer De skate hai Jaise ki Niche Image me Dekhe maine jawab Diye hai
Internet _Se_Paisa_kaise_kamaye
Image me Jo steps Bataye Hai unhe Follow karke Next Button par click kare

Step 5 :- Ab aapke Samne Ek Or Page open Hoga Usmain Aapko apni full Details Add karni Hai
Niche Image me Dekhe Or follow kare
Shopify_par_website_banaye
  1.  Name 
  2.  Surname 
  3.  Addres 
  4.  Is step Ko khali Choad De 
  5. City ya district 
  6.  Pin code 
  7. Country me india select kare 
  8. Aap Konse State se hai Dale 
  9.  Aapka Mobile Number dale 
  10. Aga Aapka Website hai To add kare yaa Fir Khali Choad de 
11. Last me Enter my Store par click Kare

Congratulations Ab aapka Online Shopping store banake Ready Hai Ab is Store par Aapko Bahut change karne Hote hai Jaise theme Add karna , Product Add karna , Domain add karna Or bahut Kuch Change karne Hote hai

Ye Store aap Aesa samaj sakte hai Ki aapne market me Bussiness ke liye koi Khali dukan Buy kiya waise kyu ki jab aap Dukan buy karke Aap Jo Dukan me Change karte hai Wahi Change is shopify Store me karne Hote hai

Shopify store banane ke bad Aap Product Add karke Online Selling karke Paisa kamana Start kar skate hai ...

Dosto Aapko Hamara ye Post shopify par Online Shopping Website Kaise banaye kaisa laga hame commet me Jarur Bataye or Dosto ke sath Share jarur kare
Shopify Par Online Shopping Website Kaise banaye Shopify Par Online Shopping Website Kaise banaye Reviewed by Arun Goutam on 7:29 AM Rating: 5

No comments:

loading...
Powered by Blogger.