Paytm QR Code Kaise Banaye or Payment Accept Kare

Paytm QR code kaise banaye

Paytm QR Code Kaise Banaye
Paytm QR Code Kaise Banaye
QR code kaise banate hai – Notbandi ke baad government ne digital tarike se len-den ko badhane ke liye kai kai prayas kiya hai. Paytm bhi apne users ke liye digital payment system provide karwa raha hai. Aapne market me kai jagah par Paytm QR code dekha hoga, Jisse payment liya jata hai. Ye QR code hume paytm ki aur se diya jata hai taki hum digital payment accept kar sake. Agar aap bhi apni shop (Dukan) par paytm ka QR code use karna chahte hai to is post ko detail se padhte jayiye. Me aapko bataunga ki Paytm se qr code kaise banaye or kisi bhi customer se us code ki madad se payment kaise accept kare.
Step #1. QR code generate kare
Sabse pehle paytm ke business page ko open kare aur “Get your paytm QR code” button par click kare. Ab apne mobile number or password se login kare.
Login karne ke baad “Account Activation” page open hoga. Is page par aapko 3 option dikai denge.
  1. Select payment solution – Is option me se shop/retails store ko select kare.
  2. Business Details – Yahan apni shop ka name likhe aur Business category select kare. Fir address aur pin code enter karne ke baad “Next” button par click kare.
  3. Get paytm QR code – Ab aapka paytm QR code generate ho jayega.
QR code generate hone ke baad aap uska ek printout nikal le aur apni shop par laga de.
Step #2. QR code se payment kaise accept kareAb jab hi koi paytm user aapki shop par aaye to unhe paytm se payment karne ke liye kahe. Payment karne ke liye customer ko apne paytm se aapke paytm QR code ko scan karna hoga. Uske baad payment aapke paytm wallet me aa jayega.
Jab bhi koi customer aapko payment karega to wo paise aapke paytm wallet me aa jayenge. Payment complete hone par aapko ek sms bhi aayega. Ya fir aap apne paytm wallet me apna balance check kar sakte hai.

Step #3. Paise bank account me kaise transfer kare

Aap jab chahe tab apne paytm wallet se paise bank account me transfer kar sakte hai. Bank account me transfer karne ke liye –
  • Apne mobile me paytm app open kare.
  • Fir “pay or send” button par click kare aur bank account option select kare.
  • Apna bank account number, name aur amount enter kare aur transfer karde.
  • Paise aapke bank account me transfer ho jayenge.
Paytm Payment limit
RBI rules ke karan aap paytm se unlimited payment accept nahi kar sakte hai. Payment lene ki ek limit hoti hai. Aur aap bank account me bhi ek limit tak paise transfer kar sakte hai.
  • Non-KYC customer ek month me 20000 Rs. se jyada ka amount receive nahi kar sakta.
  • KYC customer ek month me 1 lakh tak ka payment le sakta hai.
  • Ek month me Paytm se bank account me paise transfer karne ki limit 50000 hai.
.
Is tarah aap apni shop (Dukan) par paytm QR code se payment le sakte hai aur digital kranti ka hissa ban sakte hai. Ye service bilkul free hai aur iska upyog har koi dukandar kar skta hai.
Paytm QR Code Kaise Banaye or Payment Accept Kare Paytm QR Code Kaise Banaye or Payment Accept Kare Reviewed by Arun Goutam on 2:22 AM Rating: 5

No comments:

loading...
Powered by Blogger.