Affiliate Marketing Kya Hai, Isase Paise Kaise Kamate Hai#Arun Star

Affiliate Marketing kya hai, Isse online paise kaise kamaye,  Hamare kai dost is bare me janana chahate hai, aur question bhi karte hai. what is affiliate marketing in hindi. So mai is
post me un sabhi friends ke liye affiliate marketing ki puri jankari hindi me share kiya hai, Jise padhane ke bad Sabhi confusion dur ho jayega.Dosto blogging se achhi kamai sabhi log karna chahate hai but kya aapko pata hai, ki aap apane blog se advertising ke alava affiliate marketing se bhi online paise kama sakte hai, Ha friiends affiliate marketing blog se paise kamane ka sabase achha option hai. aaj bahut se hindi and english bloggers affiliate marketing se khub paise kama rhe hai.

Affiliate Marketing ki puri jankari

Chaliye sabase pahale kuchh common savalo ke javab jan lete hai jisake bare me sabhi new bey janana chahate hai.

Affiliate Marketing Kya Hai ?

Affiliate Marketing online degital marketing ka ek aisa way hai, Jisase aap apane blog or website par kisi organization ke products ko promote karte hai, Dusare words me kahe to kisi bhi companny ke products ko online sell karte hai jisake badale me companny aapko kuchh commission deti hai. commission product ke hisab se alag – alag ho sakata hai.


How Does Affiliate Marketing Work ?

Affiliate program vahi companny offer karti hai jo apne products ko promote karana chahati hai. jab aap Affiliate program ko join karte hai to organization apne product ke promotion ke liye adsense add ki tarah se ek link ya fir banner deti hai, jab aap us link, banner ko apne blog, website par lagate hai aur aapke blog par aane vale visitors us link ya banner par click karke affiliate program offer karne vali site par pahuchkar jab koi product kharidate hai ya service ke liye sign up karte hai to usake badale companny aapko commission deti hai.

Affiliate Marketing se paise kaise kamaye

Apne blog se paise kamane ke liye jyadatar bloggers Google AdSense ko use karte hai. Lekin mai aapko bata du ki agar aapke blog par achha traffic hai to aap affilite marketing se achhi income kar sakte hai. Bahut se success bloggers adsense ke sath  affilite marketing se khub kamai kar rahe hai.

Affilite marketing se online paise kamane ke liye aapka affilite program offer karne vali site par account hona chahiye tabhi aapko product sell ya promote karne ki athourty milegi.

Ab aap soch rhe ho ki aisi kaun si website hai jaha regoster hone ke bad companny apana product sell ya promote karne ki athorty free me de deti hai. Ye janane ke liye aap ksisi bhi site ko google me search karte time usake aage affilite type karke search karne se pata chal jata hai ki website affility offer karti hai ya nahi.

Kuchh popular Affilite marketing ka link mai aapko de rha hu jaha se sabase jyada log registor karke online morketing kar rhe hai. FlipkartAmazon, and moch more.

Affiliate Marketing se kitane paise kama sakate hai ?

Aaj bahut se bloggers Affiliate program se lakho me paise kama rhe hai. Affiliate paise kamane ki koi limit nahi hai, ye aapke blog traffic and sell hone vale product ke upar dipend karta hai. Agar commission ki bat kare to lagabhag sabhi products par 14% milata hai. Ye ghat ya badh bhi sakata hai.

Affiliate Marketing se payment kaise milata hai ?

Yadi aapne kisi companny ka product promote karane ke liye affiliate program register kita hai to usake products sell hone se aapko jo commossion milata hai use aap uske dashboard me jakar dekh sakte hai. Jaha se aapne text link ya banner crete kiya tha.
Agar Affiliate marketing se kamaye paise ko apne bank account me transfer karne ki bat kare to aap bahut aasani se apne kisi bhi bank account me transfer kar sakte hai. Isake alava kuchh affiliate companny paypal account me paise dete  hai, Jise yaha resive karne ke bad aap jab chahe bank me bhej sakte hai.

Affiliate Marketing aur Google AdSense ek sath use kar sakate hai ?

Ji ha bilkul ! Aap apne blog par adsense ads ke sath affiliate morketing bhi use kar sakte hai. Isase aapke adsense account par koi farak nahi padega. Kyuki google adsense affiliate marketing ko support karata hai. Aap Adense ka tearms and condition read kar sakte hai. Ye usake bilkul bhi khilaf nahi hai, Kyuki ye ekadam sahi hai isme koi bhi dhokha dhadi nahi hai.
Mai aapko upar bhi bata chuka hu ki aaj lakho blog aise hai jo google adsense ke sath affiliate marketing se achhi kamai kar rhe hai. To der kis bat ki aaj hi aap kisi bhi affiliate companny par register kare aur usake product ko apne blog par promote karke paise kamaye.
I hope Affiliate se relative ye jankari aapko achhi lagi hogi. Is post me maine affiliate markiting ke bare me puri jankari dene ki koshis kiya hai. But ek hi post me puri jankari sambhav dena nahi hai, so mai next artical me iske bare me aur bhi jankari share karuga. Agar aapka koi saval ho to comment kare. Yadi post achha lage to social media par share jarur kare.
Affiliate Marketing Kya Hai, Isase Paise Kaise Kamate Hai#Arun Star Affiliate Marketing Kya Hai, Isase Paise Kaise Kamate Hai#Arun Star Reviewed by Arun Goutam on 6:40 AM Rating: 5

No comments:

loading...
Powered by Blogger.